Hi friends mera naam Kunal hai. meri story "Pyar ka Dard True Love Story". aapne padhi hogi meri apni story main hum isliye nahi mil pate kyon ki usne kabhi chaha hi nahi ki hum mile lekin kuch logo ka to saathi bhi saath deta hai phir wo kyo nahi mil pate mene bhi bahut si story padhi lekin jyadatar stories ki kahani unke parents ke karan ruk jati hai.
Humare parents apni jhooti shaan, jaat paat, andh viswaas ke karan humari khushiyo ko tod dete hai. lekin hum unse shikwa tak nahi karte aur apne saathi ka dil tod baithte hai. haan agar partner bewafa ho to baat samajh aati hai magar partner aapke saath jeena marna chahta ho to bhi yahi karna chahiye kya yahi saccha pyaar hai? Nahi na. are yaar saccha pyaar to marte dam tak saath deta hai.
meri kahi baaton ka maksad ye nahi hai ki aap apne parents se bagawat karo. balki unko ye ehsaas dilaoo ke kisi ke saath unki khushiya judi huyi koi hai jo unke baad humari zindgi me kitne maayne rakhta hai. ye hum bayan nahi kar sakte. sabse badi baat jab baat sachhe pyar ki aati hai to puri duniya ek taraf aur saccha pyar ek taraf bas kisi ko pane ki himmat honi chaiye koi kuch nahi kar pata agar humara partner humare khatir apne parents se lad sakta hai to hum kyo nahi lad sakte.
kyo hum uska saath nahi dete. kya hume unse pyar nahi. ab aap log kahoge ki majboori hai lekin majburi sirf aapke liye kyo unke liye kyo nahi hai aur waise bhi mera manana hai ki badi se badi majburi bhi kisi ko kisi ka dil todne ka haq nahi deti. kyo ki kisi ka khoon karna jitna bura hai us se kai jyada bura kisi ka dil todna hai. jab doo log koi relationship banate hai to unhe pata hota hai ki wo is relation me kitna khush rahenge. ya use todne ke baad kitna dhukhi rahenge.
lekin itni si baat hum apne parents ko nahi samajha pate. are mana ki unhone hume 20-22 saal pala hai, wo bhi humse pyar karte hai. lekin humari zindgi ki sabse badi khushi ke aage unka pyar kam pad jata hai. agar itni si baat hum unhe samajha sakte to koi bhi love story ka end bura nahi hota. lekin hum apne pyar ka balidan kar dete hai jo ki accha nahi hai. humari hi galitiyo se pyar naam ki cheez badnaam ho jati hai.
are yaar pyar dilon ka bandhan hota hai aur jab dil ka bandhan toota hai to bahut dard hota hai. us dard se na tum jee sakoge aur na tumhara partner use chhod kar hum apne haath ki lakeeron se khushiya mita dete hai. kehte hai sacchi khushiya to pyar karne walon ke pass hi hoti hai. baad me hum unhe kisi anjane mod par milte hai to yahi sochte hai ki us din usne mera ya mene uska saath diya hota to humari zindgi me bhi apne pyar ke saath hone ki sacchi khushi hoti aur jahan tak parents ka sawaal hai agar jitna pyar hum unse karte hai.
wo bhi humse utna hi pyar karte hai. to wo bhi humari khushiyo ke aage jhuk hi jayenge. esliye apne pyar ko pane ki har na mumkin koshish karo koi nahi kehta ki pyar ki raahein aasan hoti hai lekin jahan pyar hota hai wahan raasta mil hi jata hai aur sabse badi baat kisi ka haath thaam kar use beech raah me mat chhodo. kabhi khush nahi reh paaoge aajma lena umeed karta hu ki ye topic bahut se logon ke samajh me aa gaya hoga.
So friends convense your parents and dont hurt your love. Agar aap mujhse koi baat share karna chahte hai ya koi sawaal karna chahte ho to comment box me kar sakte ho...
Submitted By - Kunal

Bhai i impress in your love topic I have a great problem that my patner patents are agree to marry us but her parents are tell him that never show me ur face after ur marriage how can she live without her parents she love him so much .. give a good suggestion.
ReplyDelete