Hi, I’m Gopi. This is true love story. I am from Jamtara( a district town of Jharkhand state) when I was studying in class 12th. After the exam I decided to join a computer class and spoken English to improve both subjects. And finally I joined. Spoken aur computer class dono hi thik thak chal raha tha,
Dosto ke sath masti bhi kar lete the. Lekin ek din jab main computer center pahuncha to dekha ki ek ladki aur ek aurat admission ke bare mein sir se baat kar rahe the, main jake waha pe baith gaya kyunki mujhe sir se kuch note ko apne copy me note down karna tha,
Wo aurat sir ko batayi ki ye ladki ko computer ka course karna hai, ye 3 mahine ke liye yahan aayi hai. 10th ka exam dene ke baad khali samay (jamtara me iski Nani ghar hai).
Main ek nazar us ladki ko dekha par koi khas dhyan nahi diya, uski mami ne uska admission usi course me karaya jo main bhi kar raha tha. Sir ne unko mere hi batch me de diya. Phir agle din se wo class aane lagi. Main thoda shrmila hun isiliye main jaldi ladki se baat nahi karta hun, lekin us ladki ko jab bhi koi problem hoti thi to sir mujhe batane ke liye kahte the(As because I had done it).
Jab maine uska naam puchaa to wo apna naam Madhuri batayi( Which is written on my heart) Phir dhire dhire hum dono dost ban gaye, mera doo aur dost bhi mere sath computer course kar raha tha manoj & samsed, aur wo log aksar absent karta tha. Wo dono mujhe majak karta tha ki tu to ladki ko pata liya, Hum log ka batch ka time dopahar ko 12 baje tha,
Jab humlog class karte the to sir mera bike leke lunch ke liye chale jate the. Aur us samay class me hum dono hi hote the kyunki baaki dost bahut kam aate the, Ek mahina class karne ke baad mujhe ajab sa bekhudi hone lagi, Jab kabhi wo nahi aati thi to mera mann nahi lagta tha.
Ek din main apna spoke class ke liye morning (usually I’m in evening batch) me gaya to dekha us batch me wo ladki bhi hai. Phir main dono samay uske saath coaching karne laga. Mujhe kitna bhi kaam rahta tha phir bhi main kabhi bhi coaching miss nahi karta tha, Sayad uski ek jhalak mere liye sabkuch tha.
Wo ladki bhi mere saath kafi waqt guzarne lagi phir mujhe laga ki main use pyar karne laga. Par mujhme ye himmat nhi tha ki main use apna pyar ka izhar karu. Wo bhi mere saath kuch eise hi behave karti thi jisse mujhe laga ki wo mujhe pyar karti hai,
ek din computer class mein use kuch problem ho raha tha wo mujhe batayi( because sir had gone for lunch and no one there except us) to main jeise uske system ke mouse me apna haath diya to dekha ki main uske haath me apna haat rakh diya wo kuch nahi boli isi tarah do minut me maine uska problem solve kar diya. Par uska sparsh pakar main to sabkuch bhul gaya mera dhadkan tez ho gaya aur uska bhi. Mujhe bahut beicheni hone lagi.
main dhire-dhire uske karib jaane laga par phir maine apne aap ko sambhala, jeise teise class khatm karne ke baad jab ghar aaya to mujhe sirf ek hi chiz nazar aati thi uska chehra. Phir maine apna haal apna dost Manoj ko batay to wo mujhe kaha ki main Madhuri ki purpose karu, Par kya batau yaar darr bhi bahut lag rha tha,
agar wo mana kar di aur ye dosti relation tut jaaye to kya hoga. Phir manoj me bataya ki “main tere liye kuch karta hun”.
Agle din class me hum tino the Main Manoj aur my sweet heart. Class over hone ke baad manoj uske saath paidal chal gaya, kyunki dono ka ghar ek hi root me hai, Main reverse chala gaya. Kuch dher baad manoj mujhe call karke bataya ki wo Madhuri ko bata diya ki main use chahne laga hun, phir main to pura kush ho gaya, agle dinjab class me gaya to wo ekdum chupchap hai, Maine puchha koi baat hai?
Wo jabab nhi di, Kuch der baad jab class mein koi nhi tha to wo mujhe boli ki aapne manoj ko kya bataye hai, Main bola “Wahi jo manoj ne tumhe bataya”
Wo “aap bataye?’
Main bataya ki main tumhe pyar karta hun.
Phir wo thora emotional ho gayi. Phir wo batayi ki hum kabhi nhi mil sakte kyunki uska ghar me kabhi bhi ye bardast nhi karenge. maine bataya ghar chhor denge, par wo nahi maani, wo boli ki hum ache dost ban kar raheng par kabhi ek nhi ho sakte, phir bhi main use chahne laga,
sayad wo chathi thi ki main ki main uska khyal apne mann se nikala dun, Wo spoken class me ek aur ladka se involve rahne lagi, Taki main use chor dun, Par mere dil ko koun samjhaye? Main beintaha pyar me dub gaya humesha ussi ke bare me shochne laga. Shubah sham uske sath coaching me, aur baaki ka samay akele me kisi park me ya play ground me bitata tha,
Phir 3 mahina eise hi beet gaya aur course bhi pura ho gaya. Wo apna ghar wapas jaane lagi, mujhe aaj bhi yaad hai ki jab wo last din class me aayi to aur sir ko boli ki wo agle din apna ghar wapas jaane wali hai to ye sun ke mere pairo tale zamin khisaq gaya, mere aankho me aanshu aa gaya,
Ek pal ke liye laga ki meri duniya khatm hone jaa rahi hai, tab tak Wo aake mujhse boli “Main jaa rhi hai, aap please apne career ke bare me sochu aur mujhe bhul jaiye, aapke liye mujhse bhi koi achhi ladki mil jaayegi. Aur wo chali gayi, dosto mujhe us din pata chala ki dard kiya hota hai, us din pura raat ko main roya kabhi nind nahi aayi coaching bhi chor diya, aur duniya se begana ho gaya,
Mujhe laga ki main apni zindegi khatm kar lu, par phir dhire dhire shambhala gaya. Phir main 2 mahine baad Durgapur padhai karne chala gaya, aur humare bich koi contact nhi h abhi, but still I love her...
No comments:
Post a Comment